Thursday, June 26, 2008

kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta

kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta 
kahin zameen to kahin aasmaan nahi milta

jise bhi dekhiye wo apne aap mei gum hai
zubaan mili hai magar hum-zubaan nahi milta

bujhaa saka hai bhala kaun waqt ke sholey
ye aisi aag hai jisme dhuaan nahi milta

tere jahaan mei aisa nahi ki pyaar na ho
jahaan ummeed ho iski, wahaan nahi milta

~ Shahryar

Monday, June 23, 2008

aankh pyasi hai koi manzar de

aankh pyasi hai koi manzar de
is jazeere ko bhi samandar de

apna chehra talaash karna hai
gar nahi aaina to patthar de

band kaliyon ko chaahiye shabnam
in chirago mei roshni bhar de

pattharon ke saron se karz utaar
is sadi ko koi payambar de

kah-kahon mei guzar rahi hai hayaat
ab kisi din udaas bhi kar de

~ Rahat Indori

Sunday, June 22, 2008

aaj bhi hain mere kadmo ke nishan awara

aaj bhi hain mere kadmo ke nishan awara 
teri galiyo mei bhatak te the jahan awara

tujhse kya bichhde to ye ho gayi apni haalat
jaise ho jaaye hawaon mei dhuaan awara

mere sheron ki thi pehchaan usi ke dam se
usko kho kar huye benaam-o-nishan awara

jisko bhii chaha usse toot ke chaha "Raashid"
kam milenge tumhe hum jaise yahan awara

~ Mumtaz Rashid

Thursday, June 19, 2008

sach ye hai, bekaar hume gham hota hai

sach ye hai, bekaar hume gham hota hai
jo chaha tha, duniya mei kam hota hai

dhalta suraj, phaila jungle, rasta gum
humse puchho kaisa aalam hota hai

gairo ko kab fursat hai dukh dene ki
jab hota hai, koi humdum hota hai

zakhm to humne in ankhon se dekhe hain
logo se sunte hain, marrham hota hai

zahan kii shaakho par ashaar aa jaate hain
jab teri yaadon ka mausam hota hai

~ Javed Akhtar

Saturday, June 14, 2008

tum poochho aur mai na bataon, aise to haalaat nahi

tum poochho aur mai na bataon, aise to haalaat nahi
ek zara sa dil toota hai, aur to koi baat nahi

kisko khabar thi saavley baadal bin barse udd jaate hain
saawan aya lekin apni kismat mei barsaat nahi

mana jeevan mei aurat ek baar mohabbat karti hai
lekin mujhko ye to bata de kya tu aurat-zaat nahi

khatm hua mera afsana ab ye aansoo ponchh bhi lo
jis mei koi tara chamke aaj ki raat wo raat nahi

mere gham-gin hone par ehbaab hain yu hairaan "Qateel"
jaise mai patthar hoon, mere seene mei jazbaat nahi

~ Qateel Shifai

Thursday, June 12, 2008

dhoop mei niklo ghatao mei nahaa kar dekho

dhoop mei niklo ghatao mei nahaa kar dekho
zindagi kya hai kitaabo ko hataa kar dekho

wo sitara hai chamakne do yuhi aankho mei
kya zaroori hai usse jism banaa kar dekho

pattharo mei bhi zubaa hoti hai, dil hotey hain
apne ghar ki dar-o-deewar sajaa kar dekho

faasla nazaro ka dhoka bhii to ho sakta hai
wo miley ya na miley haath badhaa kar dekho

~ Nida Fazli

Saturday, June 7, 2008

baraabar se bachkar guzar jaane wale

baraabar se bachkar guzar jaane wale
ye naale nahi be-asar jaane wale

mohabbat mei hum to jiye hain, jiyenge
wo honge koi aur, mar jaane wale

mere dil ki betaabiyaa bhi liye jaa
dabey paao mooh pher ke jaane wale

nahi jaante kuchh ki jaana kahan hai
chale jaa rahe hain magar jaane wale

tere ik ishaare pe saakit khade hain
nahi kehke sab se guzar jaane wale

~ Jigar Moradabadi

Monday, June 2, 2008

raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya

raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
dil bahut kuchh jala ke dekh liya

aur kya dekhne ko baaki hai
aap se dil laga ke dekh liya

wo mere hoke bhi mere na huwe
unko apna banaa ke dekh liya

aaj unki nazar mei kuchh humne
sabki nazrein bachaa ke dekh liya

'Faiz', taqmeel-e-gham bhi ho na saki
ishq ko aazma ke dekh liya

aas uss dar se toot-ti hi nahi
jaa ke dekha, na jaa ke dekh liya

~ Faiz Ahmed Faiz