Sunday, September 7, 2008

apni marzi se kahaan apne safar ke hum hain

apni marzi se kahaan apne safar ke hum hain
rukh hawaaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain

pehle har cheez thi apni magar abb lagtaa hai
apne hi ghar mei kisi doosre ghar ke hum hain

waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon tak
kisko maaloom kahaan ke hain kidhar ke hum hain

chalte rehte hain ki chalna hai musafir ka naseeb
sochte rehte hain ki kis rehguzar ke hum hain

gintiyo mei hi giney jaate hain har daur mei hum
har kalamkaar ki benaam khabar ke hum hain

~ Nida Fazli

Thursday, August 21, 2008

angdaayi par angdaayi leti hai raat judaai ki

angdaayi par angdaayi leti hai raat judaai ki
tum kya samjho tum kya jaano baat meri tanhaai ki

kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariyaa mei
maine aankh jhuki dekhi hai aaj kisi harjaai ki

vasl ki raat na jaane kyon israar thaa unko jaane par
waqt se pehle doob gaye taaro ne badi daanaai ki

udte udte aas kaa panchhi door ufaq mei doob gaya
rotey rotey baith gayi aawaaz kisi saudaai ki

~ Qateel Shifai

Friday, August 8, 2008

misaal iski kahan hai zamaane mei

misaal iski kahan hai zamaane mei
ki saare khone ke gham paaye humne paane mei

wo shakl pighli to har shai mei dhal gayi jaise
ajeeb baat huyi hai usse bhulaane mei

jo muntazir na milaa, wo to hum hai sharminda
ki humne derr lagaa di palatke aane mei

lateef thaa wo takhaiyul se, khwab se naazuk
gavaa diya humne hi usse aazmaane mei

samajh liya tha kabhi ek saraab ko dariya
par ek sukoon tha humko fareb khaane mei

jhukaa darakht hawa se, to andhiyo ne kaha
zyada farq nahin jhuk ke toot jaane mei

~ Javed Akhtar

Saturday, August 2, 2008

aise hijr ke mausam ab kab aate hain

aise hijr ke mausam ab kab aate hain 
tere alaava yaad hume sab aate hain

jazb kare kyon ret hamaare ashko ko
tera daaman tar karne ab aate hain

ab wo safar ki taab nahi baaki varna
humko bulaavey dasht se jab tab aate hain

jaagti aankho se bhi dekho duniya ko
khwabon ka kya hai, wo har shab aate hain

kaagaz ki kashti mei dariya paar kiya
dekho humko kya-kya kartab aate hain

~ Shahryar

Saturday, July 26, 2008

aa, ki meri jaan mei qaraar nahi hai

aa, ki meri jaan mei qaraar nahi hai 
taaqat-e-bedaad-e-intezaar nahi hai

dete hain jannat hayaat-e-dehar ke badle
nasha baa-andaaza-e-khumaar nahi hai

giriyaa nikaale hai teri bazm se mujhko
haaye! ki rone pe ikhtiyaar nahi hai

humse abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mei ushaq ki gubaar nahi hai

dil se utha lutf-e-jalwa haaye maaniye
gair-e-gul aaina-e-bahaar nahi hai

qatl ka mere kiya hai ahad to baare
haaye! agar ahad ustavaar nahi hai

tu ne qasam maikashi ki khayi hai 'Ghalib'
teri qasam ka kuchh aitbaar nahi hai

~ Ghalib

Tuesday, July 15, 2008

na ravaa kahiye, na sazaa kahiye

na ravaa kahiye, na sazaa kahiye
kahiye kahiye, mujhe buraa kahiye

dil mei rakhane ki baat hai gham-e-ishq
isko hargiz na barmalaa kahiye

ve mujhe qatl karke kehte hain
maanta hi na tha ye, kyaa kahiye

aa gayi aap ko masihaayi
marne waalo ko marhabaa kahiye

hosh udne lage raqeebon ke
"Daag" ko aur bewafaa kahiye

~ Daag Dehlvi

Wednesday, July 9, 2008

naseeb aazmaane ke din aa rahe hain

naseeb aazmaane ke din aa rahe hain
kareeb unke aane ke din aa rahe hain

jo dil se kaha hai jo dil se suna hai
sab unko sunaane ke din aa rahe hain

abhi se dil-o-jaan sar-e-raah rakh do
ke lutne lutaane ke din aa rahe hain

tapakne lagi un nigaahon se masti
nigaahen churaane ke din aa rahe hain

sabaa phir hame poochhti phir rahi hai
chaman ko sajaane ke din aa rahe hain

chalo "Faiz" phir se kahin dil lagaaye
sunaa hai thikaane ke din aa rahe hain

~ Faiz Ahmed Faiz