Thursday, August 21, 2008

angdaayi par angdaayi leti hai raat judaai ki

angdaayi par angdaayi leti hai raat judaai ki
tum kya samjho tum kya jaano baat meri tanhaai ki

kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariyaa mei
maine aankh jhuki dekhi hai aaj kisi harjaai ki

vasl ki raat na jaane kyon israar thaa unko jaane par
waqt se pehle doob gaye taaro ne badi daanaai ki

udte udte aas kaa panchhi door ufaq mei doob gaya
rotey rotey baith gayi aawaaz kisi saudaai ki

~ Qateel Shifai

Friday, August 8, 2008

misaal iski kahan hai zamaane mei

misaal iski kahan hai zamaane mei
ki saare khone ke gham paaye humne paane mei

wo shakl pighli to har shai mei dhal gayi jaise
ajeeb baat huyi hai usse bhulaane mei

jo muntazir na milaa, wo to hum hai sharminda
ki humne derr lagaa di palatke aane mei

lateef thaa wo takhaiyul se, khwab se naazuk
gavaa diya humne hi usse aazmaane mei

samajh liya tha kabhi ek saraab ko dariya
par ek sukoon tha humko fareb khaane mei

jhukaa darakht hawa se, to andhiyo ne kaha
zyada farq nahin jhuk ke toot jaane mei

~ Javed Akhtar

Saturday, August 2, 2008

aise hijr ke mausam ab kab aate hain

aise hijr ke mausam ab kab aate hain 
tere alaava yaad hume sab aate hain

jazb kare kyon ret hamaare ashko ko
tera daaman tar karne ab aate hain

ab wo safar ki taab nahi baaki varna
humko bulaavey dasht se jab tab aate hain

jaagti aankho se bhi dekho duniya ko
khwabon ka kya hai, wo har shab aate hain

kaagaz ki kashti mei dariya paar kiya
dekho humko kya-kya kartab aate hain

~ Shahryar