Showing posts with label rashid kamil. Show all posts
Showing posts with label rashid kamil. Show all posts

Wednesday, May 21, 2008

kabhi aah lab pe machal gayi, kabhi ashk ankh se dhal gaye

kabhi aah lab pe machal gayi, kabhi ashk ankh se dhal gaye
wo tumhare gham ke chiraag hain, kabhii bujh gaye kabhi jal gaye

mai khayal-o-khwab ki mehfile na baqadr-e-shauq sajaa saka
tumhari ik nazar ke saath hi mere sab iraade badal gaye

kabhi rang mei kabhi roop mei, kabhi chhaav mei kabhi dhoop mei
kahin aftaab-e-nazar hain wo, kahin mahtaab mei dhal gaye

jo fanaa huye gham-e-ishq mei, unhe zindagi ka na gam hua
jo na apni aag mei jal sake wo paraayi aag mei jal gaye

ya unhe bhi meri tarah junoon to phir un mei mujh mei ye farq kya
mai giraft-e-gham se na bach saka, wo hudood-e-gam se nikal gaye

~ Rashid Kamil

Wednesday, March 26, 2008

dard ka hadd se guzarna to abhi baaki hai

dard ka hadd se guzarna to abhi baaki hai
toot kar mera bikharna to abhi baaki hai

paas aake mera dukh-dard baatnewaale
mujhse katra ke guzarna to abhi baaki hai

chand sheron mei kahaan dhalti hai ehasaas ki aag
gham ka ye rang nikharna to abhi baaki hai

rang-e-ruswayi sahi, shehar ki deewaaro par
naam "Rashid" ka ubharna to abhi baaki hai

~ Rashid Kamil