Showing posts with label daag dehlvi. Show all posts
Showing posts with label daag dehlvi. Show all posts

Tuesday, July 15, 2008

na ravaa kahiye, na sazaa kahiye

na ravaa kahiye, na sazaa kahiye
kahiye kahiye, mujhe buraa kahiye

dil mei rakhane ki baat hai gham-e-ishq
isko hargiz na barmalaa kahiye

ve mujhe qatl karke kehte hain
maanta hi na tha ye, kyaa kahiye

aa gayi aap ko masihaayi
marne waalo ko marhabaa kahiye

hosh udne lage raqeebon ke
"Daag" ko aur bewafaa kahiye

~ Daag Dehlvi

Friday, May 30, 2008

aarzoo hai wafaa kare koi

aarzoo hai wafaa kare koi
jee na chaahe to kya kare koi

gar marz ho dawaa kare koi
marne waale ka kya kare koi

koste hain jaley huye kya kya
apne haq mei duaa kare koi

unse sab apni-apni kehte hain
mera matlab adaa kare koi

tum saraapa ho soorat-e-tasveer
tum se phir baat kya kare koi

jisme laakho baras ki hoore ho
aisi jannat ka kya kare koi

~ Daag Dehlvi

Monday, April 28, 2008

gazab kiya, tere vaade pe aetbaar kiya

gazab kiya, tere vaade pe aetbaar kiya
tamaam raat qayamat ka intezaar kiya

hasa hasa ke shab-e-vasl ashkbaar kiya
tasalliya mujhe dede ke beqaraar kiya

ham aise mahv-e-nazaara na the jo hosh ata
magar tumhare tagaaful ne hoshiyaar kiya

fasana-e-shab-e-gam unko ek kahaani thi
kuch aetabaar kiya aur kuch na-aetabaar kiya

ye kisne jalwa hamare sar-e-mazaar kiya
ki dil se shor utha, haaye!!! beqaraar kiya

tadap phir aye dil-e-nadan, ki gair kehte hain
aakhir kuch na bani, sabr ikhtiyaar kiya

bhula-bhula ke jataya hai unko raaz-e-nihaa
chhipa-chhipa ke mohabbat ko aashkaar kiya

tumhe to vada-e-deedar ham se karna tha
ye kya kiya ke jahaan ko umeedwar kiya

ye dil ko taab kahan hai ke ho maalandesh
unhone vada kiya ham ne aetabaar kiya

na poochh dil kee haqeeqat magar ye kehte hain
wo beqaraar rahe jisne beqaraar kiya

kuch aage daawar-e-mahshar se hai umeeid mujhe
kuch aap ne mere kehne ka aetabaar kiya

~ Daag Dehlvi

Wednesday, April 2, 2008

ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota

ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota
kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisaar hota

na maza hai dushmani mei na hai lutf dosti mei
koi gair-gair hota koi yaar-yaar hota

ye maza tha dillagi ka ke baraabar aag lagti
na tumhe qaraar hota na hame qaraar hota

tere waade par sitamagar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hame aitbaar hota

~ Daag Dehlvi

Monday, March 24, 2008

rasm-e-ulfat sikha gaya koi

rasm-e-ulfat sikha gaya koi
dil ki duniya pe chhaa gaya koi

taa qayamat kisi tarah na bujhe
aag aisi lagaa gayaa koi

dil ki duniya ujadisi kyon hai
kya yahan se chala gaya koi

waqt-e-rukhsat gale lagaa kar "Daag"
haste haste rula gaya koi

~ Daag Dehlvi