Saturday, July 26, 2008

aa, ki meri jaan mei qaraar nahi hai

aa, ki meri jaan mei qaraar nahi hai 
taaqat-e-bedaad-e-intezaar nahi hai

dete hain jannat hayaat-e-dehar ke badle
nasha baa-andaaza-e-khumaar nahi hai

giriyaa nikaale hai teri bazm se mujhko
haaye! ki rone pe ikhtiyaar nahi hai

humse abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mei ushaq ki gubaar nahi hai

dil se utha lutf-e-jalwa haaye maaniye
gair-e-gul aaina-e-bahaar nahi hai

qatl ka mere kiya hai ahad to baare
haaye! agar ahad ustavaar nahi hai

tu ne qasam maikashi ki khayi hai 'Ghalib'
teri qasam ka kuchh aitbaar nahi hai

~ Ghalib

Tuesday, July 15, 2008

na ravaa kahiye, na sazaa kahiye

na ravaa kahiye, na sazaa kahiye
kahiye kahiye, mujhe buraa kahiye

dil mei rakhane ki baat hai gham-e-ishq
isko hargiz na barmalaa kahiye

ve mujhe qatl karke kehte hain
maanta hi na tha ye, kyaa kahiye

aa gayi aap ko masihaayi
marne waalo ko marhabaa kahiye

hosh udne lage raqeebon ke
"Daag" ko aur bewafaa kahiye

~ Daag Dehlvi

Wednesday, July 9, 2008

naseeb aazmaane ke din aa rahe hain

naseeb aazmaane ke din aa rahe hain
kareeb unke aane ke din aa rahe hain

jo dil se kaha hai jo dil se suna hai
sab unko sunaane ke din aa rahe hain

abhi se dil-o-jaan sar-e-raah rakh do
ke lutne lutaane ke din aa rahe hain

tapakne lagi un nigaahon se masti
nigaahen churaane ke din aa rahe hain

sabaa phir hame poochhti phir rahi hai
chaman ko sajaane ke din aa rahe hain

chalo "Faiz" phir se kahin dil lagaaye
sunaa hai thikaane ke din aa rahe hain

~ Faiz Ahmed Faiz

Wednesday, July 2, 2008

dastan-e-gham-e-dil unko sunayi na gayi

dastan-e-gham-e-dil unko sunayi na gayi
baat bigdi thi kuchh aisi ki banayi na gayi

sab ko hum bhool gaye josh-e-junoon mei lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulayi na gayi

ishk par kuchh na chalaa deedaar-e-tar ka jadoo
usne jo aag lagaa di vo bujhayi na gayi

kya uthayegi sabaa khaak meri uss dar se
ye qayamat to khud unse bhi uthayi na gayi

~ Jigar Moradabadi