aa, ki meri jaan mei qaraar nahi hai
taaqat-e-bedaad-e-intezaar nahi hai
dete hain jannat hayaat-e-dehar ke badle
nasha baa-andaaza-e-khumaar nahi hai
giriyaa nikaale hai teri bazm se mujhko
haaye! ki rone pe ikhtiyaar nahi hai
humse abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mei ushaq ki gubaar nahi hai
dil se utha lutf-e-jalwa haaye maaniye
gair-e-gul aaina-e-bahaar nahi hai
qatl ka mere kiya hai ahad to baare
haaye! agar ahad ustavaar nahi hai
tu ne qasam maikashi ki khayi hai 'Ghalib'
teri qasam ka kuchh aitbaar nahi hai
~ Ghalib
Saturday, July 26, 2008
aa, ki meri jaan mei qaraar nahi hai
Tuesday, July 15, 2008
na ravaa kahiye, na sazaa kahiye
kahiye kahiye, mujhe buraa kahiye
dil mei rakhane ki baat hai gham-e-ishq
isko hargiz na barmalaa kahiye
ve mujhe qatl karke kehte hain
maanta hi na tha ye, kyaa kahiye
aa gayi aap ko masihaayi
marne waalo ko marhabaa kahiye
hosh udne lage raqeebon ke
"Daag" ko aur bewafaa kahiye
~ Daag Dehlvi
Wednesday, July 9, 2008
naseeb aazmaane ke din aa rahe hain
naseeb aazmaane ke din aa rahe hain
kareeb unke aane ke din aa rahe hain
jo dil se kaha hai jo dil se suna hai
sab unko sunaane ke din aa rahe hain
abhi se dil-o-jaan sar-e-raah rakh do
ke lutne lutaane ke din aa rahe hain
tapakne lagi un nigaahon se masti
nigaahen churaane ke din aa rahe hain
sabaa phir hame poochhti phir rahi hai
chaman ko sajaane ke din aa rahe hain
chalo "Faiz" phir se kahin dil lagaaye
sunaa hai thikaane ke din aa rahe hain
~ Faiz Ahmed Faiz
Wednesday, July 2, 2008
dastan-e-gham-e-dil unko sunayi na gayi
dastan-e-gham-e-dil unko sunayi na gayi
baat bigdi thi kuchh aisi ki banayi na gayi
sab ko hum bhool gaye josh-e-junoon mei lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulayi na gayi
ishk par kuchh na chalaa deedaar-e-tar ka jadoo
usne jo aag lagaa di vo bujhayi na gayi
kya uthayegi sabaa khaak meri uss dar se
ye qayamat to khud unse bhi uthayi na gayi
~ Jigar Moradabadi
Thursday, June 26, 2008
kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
kabhi kisi ko mukammal jahaan nahi milta
kahin zameen to kahin aasmaan nahi milta
jise bhi dekhiye wo apne aap mei gum hai
zubaan mili hai magar hum-zubaan nahi milta
bujhaa saka hai bhala kaun waqt ke sholey
ye aisi aag hai jisme dhuaan nahi milta
tere jahaan mei aisa nahi ki pyaar na ho
jahaan ummeed ho iski, wahaan nahi milta
~ Shahryar
Monday, June 23, 2008
aankh pyasi hai koi manzar de
aankh pyasi hai koi manzar de
is jazeere ko bhi samandar de
apna chehra talaash karna hai
gar nahi aaina to patthar de
band kaliyon ko chaahiye shabnam
in chirago mei roshni bhar de
pattharon ke saron se karz utaar
is sadi ko koi payambar de
kah-kahon mei guzar rahi hai hayaat
ab kisi din udaas bhi kar de
~ Rahat Indori
Sunday, June 22, 2008
aaj bhi hain mere kadmo ke nishan awara
aaj bhi hain mere kadmo ke nishan awara
teri galiyo mei bhatak te the jahan awara
tujhse kya bichhde to ye ho gayi apni haalat
jaise ho jaaye hawaon mei dhuaan awara
mere sheron ki thi pehchaan usi ke dam se
usko kho kar huye benaam-o-nishan awara
jisko bhii chaha usse toot ke chaha "Raashid"
kam milenge tumhe hum jaise yahan awara
~ Mumtaz Rashid
