Monday, March 31, 2008

chupke chupke raat din ansoo bahana yaad hai

chupke chupke raat din ansoo bahana yaad hai 
ham ko ab tak ashiqui ka vo zamana yaad hai

bahazaara iztiraab-o-sad hazaara ishtiyak
tujhse vo pehale pehal dil ka lagana yaad hai

tujhse milte hi vo bebaak ho jana mera
aur tera daato mei vo ungli dabana yaad hai

kheench lena vo mera parde ka kona daffaatan
aur dupatte se tera vo mooh chhupana yaad hai

jaan kar sota tujhe vo qasa-e-paabosi mera
aur tera thukraa ke sar vo muskurana yaad hai

tujh ko jab tanha kabhi pana to azrahe-lihaaz
hal-e-dil baaton hi baaton mei jatana yaad hai

jab siva mere tumhara koi deewana na tha
sach kaho kya tumko bhi vo kaarkhana yaad hai

gair ki nazro se bachkar sab ki marzi ke khilaaf
vo tera chori chhipe raato ko ana yaad hai

agaya gar vasl ki shab bhi kahi zikr-e-firaaq
vo tera ro-ro ke mujhko bhi rulana yaad hai

dopahar ki dhoop mei mere bulaane ke liye
vo tera kothe pe nange paao ana yaad hai

dekhna mujhko jo bargashta to sau-sau naaz se
jab mana lena to phir khud rooth jana yaad hai

chori chori hamse tum aakar mile the jis jagah
muddate guzari par abtak vo thikana yaad hai

berukhi ke saath sunaana dard-e-dil ki daastan
aur tera hatho mei vo kangan ghumana yaad hai

waqt-e-rukhsat alvida ka lafz kehne ke liye
vo tere sukhe labo ka thar-tharana yaad hai

baavajood-e-iddaa-e-ittaqaa 'Hasrat' mujhe
aaj tak ahad-e-havas ka ye fasana yaad hai

~ Hasrat Mohani

1 comment:

Unknown said...

u need to explain this :)