Monday, March 31, 2008

chupke chupke raat din ansoo bahana yaad hai

chupke chupke raat din ansoo bahana yaad hai 
ham ko ab tak ashiqui ka vo zamana yaad hai

bahazaara iztiraab-o-sad hazaara ishtiyak
tujhse vo pehale pehal dil ka lagana yaad hai

tujhse milte hi vo bebaak ho jana mera
aur tera daato mei vo ungli dabana yaad hai

kheench lena vo mera parde ka kona daffaatan
aur dupatte se tera vo mooh chhupana yaad hai

jaan kar sota tujhe vo qasa-e-paabosi mera
aur tera thukraa ke sar vo muskurana yaad hai

tujh ko jab tanha kabhi pana to azrahe-lihaaz
hal-e-dil baaton hi baaton mei jatana yaad hai

jab siva mere tumhara koi deewana na tha
sach kaho kya tumko bhi vo kaarkhana yaad hai

gair ki nazro se bachkar sab ki marzi ke khilaaf
vo tera chori chhipe raato ko ana yaad hai

agaya gar vasl ki shab bhi kahi zikr-e-firaaq
vo tera ro-ro ke mujhko bhi rulana yaad hai

dopahar ki dhoop mei mere bulaane ke liye
vo tera kothe pe nange paao ana yaad hai

dekhna mujhko jo bargashta to sau-sau naaz se
jab mana lena to phir khud rooth jana yaad hai

chori chori hamse tum aakar mile the jis jagah
muddate guzari par abtak vo thikana yaad hai

berukhi ke saath sunaana dard-e-dil ki daastan
aur tera hatho mei vo kangan ghumana yaad hai

waqt-e-rukhsat alvida ka lafz kehne ke liye
vo tere sukhe labo ka thar-tharana yaad hai

baavajood-e-iddaa-e-ittaqaa 'Hasrat' mujhe
aaj tak ahad-e-havas ka ye fasana yaad hai

~ Hasrat Mohani

Saturday, March 29, 2008

sham se ankh mei nami si hai

sham se ankh mei nami si hai
aaj phir aapki kami si hai

dafan kar do hume ki saans miley
nabz kuchh derr se thami sii hai

waqt rehta nahi kahin chhupkar
iski aadat bhi aadmi si hai

koi rishta nahi raha phir bhi
ek tasleem laazmi si hai

~ Gulzar

Friday, March 28, 2008

log har mod pe ruk-ruk ke sambhalte kyon hain

log har mod pe ruk-ruk ke sambhalte kyon hain
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyon hain

main na jugnu hu diyaa hu na koi tara hu
roshni vaale mere naam se jalte kyon hain

neend se mera talluk hi nahi baraso se
khwab aa-aa ke meri chhat pe tahalte kyon hain

mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye
aur sab log yahin aake phisalte kyon hain

~ Rahat Indori

Wednesday, March 26, 2008

jab kisi se koi gila rakhna

jab kisi se koi gila rakhna
samne apne ainaa rakhna

yu ujaalo se vaasta rakhna
shama ke paas hi hava rakhna

ghar ki taamir chaahe jaisi ho
issme rone ki jagah rakhna

masjidey hai namaziyo ke liye
apne ghar mei kahin khuda rakhna

milna-julna jahaan zaroori ho
milne-julne ka hausla rakhna

~ Nida Fazli

dard ka hadd se guzarna to abhi baaki hai

dard ka hadd se guzarna to abhi baaki hai
toot kar mera bikharna to abhi baaki hai

paas aake mera dukh-dard baatnewaale
mujhse katra ke guzarna to abhi baaki hai

chand sheron mei kahaan dhalti hai ehasaas ki aag
gham ka ye rang nikharna to abhi baaki hai

rang-e-ruswayi sahi, shehar ki deewaaro par
naam "Rashid" ka ubharna to abhi baaki hai

~ Rashid Kamil

Tuesday, March 25, 2008

apne hothon par sajaana chahta hoon

apne hothon par sajaana chahta hoon
aa tujhe mai gungunaana chahta hoon

koi aansoo tere daaman par giraakar
boond ko moti banana chahta hoon

thak gaya mai karte-karte yaad tujhko
ab tujhe mai yaad aana chahta hoon

chhaa raha hai saari basti mei andhera
roshni ho, ghar jalaana chahta hoon

aakhri hichaki tere zaano pe aaye
maut bhi mai shayarana chahta hoon

~ Qateel Shifai

Monday, March 24, 2008

rasm-e-ulfat sikha gaya koi

rasm-e-ulfat sikha gaya koi
dil ki duniya pe chhaa gaya koi

taa qayamat kisi tarah na bujhe
aag aisi lagaa gayaa koi

dil ki duniya ujadisi kyon hai
kya yahan se chala gaya koi

waqt-e-rukhsat gale lagaa kar "Daag"
haste haste rula gaya koi

~ Daag Dehlvi

Sunday, March 23, 2008

aankho mei baske dil mei samaa kar chale gaye

aankho mei baske dil mei samaa kar chale gaye
Khwaabidaa zindagi thi jagaa kar chale gaye

chehre tak aastin vo laakar chale gaye
kya raaz tha ki jisko chhipaakar chale gaye

rag-rag mei is tarah vo samaa kar chale gaye
jaise mujh hi ko mujhse churaakar chale gaye

aaye the dil ki pyaas bujhaane ke vaaste
ik aag si vo aur lagaa kar chale gaye

lab thar-tharaa ke rah gaye lekin vo ai "Jigar"
jaate huye nigaah milaakar chale gaye

~ Jigar Moradabadi