Monday, April 28, 2008

gazab kiya, tere vaade pe aetbaar kiya

gazab kiya, tere vaade pe aetbaar kiya
tamaam raat qayamat ka intezaar kiya

hasa hasa ke shab-e-vasl ashkbaar kiya
tasalliya mujhe dede ke beqaraar kiya

ham aise mahv-e-nazaara na the jo hosh ata
magar tumhare tagaaful ne hoshiyaar kiya

fasana-e-shab-e-gam unko ek kahaani thi
kuch aetabaar kiya aur kuch na-aetabaar kiya

ye kisne jalwa hamare sar-e-mazaar kiya
ki dil se shor utha, haaye!!! beqaraar kiya

tadap phir aye dil-e-nadan, ki gair kehte hain
aakhir kuch na bani, sabr ikhtiyaar kiya

bhula-bhula ke jataya hai unko raaz-e-nihaa
chhipa-chhipa ke mohabbat ko aashkaar kiya

tumhe to vada-e-deedar ham se karna tha
ye kya kiya ke jahaan ko umeedwar kiya

ye dil ko taab kahan hai ke ho maalandesh
unhone vada kiya ham ne aetabaar kiya

na poochh dil kee haqeeqat magar ye kehte hain
wo beqaraar rahe jisne beqaraar kiya

kuch aage daawar-e-mahshar se hai umeeid mujhe
kuch aap ne mere kehne ka aetabaar kiya

~ Daag Dehlvi

No comments: