Friday, May 30, 2008

aarzoo hai wafaa kare koi

aarzoo hai wafaa kare koi
jee na chaahe to kya kare koi

gar marz ho dawaa kare koi
marne waale ka kya kare koi

koste hain jaley huye kya kya
apne haq mei duaa kare koi

unse sab apni-apni kehte hain
mera matlab adaa kare koi

tum saraapa ho soorat-e-tasveer
tum se phir baat kya kare koi

jisme laakho baras ki hoore ho
aisi jannat ka kya kare koi

~ Daag Dehlvi

Tuesday, May 27, 2008

har khushi mei koi kami si hai

har khushi mei koi kami si hai
hansti aankho mei bhi nami si hai

din bhi chup-chap sar jhukaye tha
raat ki nafz bhi thami si hai

khwab tha ya gubaar tha koi
gard in palko pe jami si hai

kah gaye hum kisse dil ki baat
shehar mei ek sansani si hai

hasratein raakh ho gayi lekin
aag ab bhi kahin dabi si hai

~ Javed Akhtar

Saturday, May 24, 2008

wo dil hi kya tere milane ki jo dua na kare

wo dil hi kya tere milane ki jo dua na kare
mai tujhko bhool ke zinda rahoo, khuda na kare

rahega saath tera pyaar zindagi bankar
ye aur baat, meri zindagi wafa na kare

ye theek hai, nahi marta koi judaai mei
khuda kisi se kisi ko magar juda na kare

suna hai usko mohabbat duaaye deti hai
jo dil pe chot to khaaye magar gila na kare

zamana dekh chuka hai, parakh chuka hai use
"Qateel" jaan se jaaye par iltaja na kare

~ Qateel Shifai

Wednesday, May 21, 2008

kabhi aah lab pe machal gayi, kabhi ashk ankh se dhal gaye

kabhi aah lab pe machal gayi, kabhi ashk ankh se dhal gaye
wo tumhare gham ke chiraag hain, kabhii bujh gaye kabhi jal gaye

mai khayal-o-khwab ki mehfile na baqadr-e-shauq sajaa saka
tumhari ik nazar ke saath hi mere sab iraade badal gaye

kabhi rang mei kabhi roop mei, kabhi chhaav mei kabhi dhoop mei
kahin aftaab-e-nazar hain wo, kahin mahtaab mei dhal gaye

jo fanaa huye gham-e-ishq mei, unhe zindagi ka na gam hua
jo na apni aag mei jal sake wo paraayi aag mei jal gaye

ya unhe bhi meri tarah junoon to phir un mei mujh mei ye farq kya
mai giraft-e-gham se na bach saka, wo hudood-e-gam se nikal gaye

~ Rashid Kamil

Saturday, May 17, 2008

zindagi yu huyi basar tanha


zindagi yu huyi basar tanha
kaafila saath aur safar tanha

apne saaye se chaunk jaate hain
umr guzri hai is qadar tanhaa

raat bhar bolte hain sannaate
raat kaate koi kidhar tanha

din guzarta nahi hai logo mei
raat hoti nahi basar tanha

humne darwaze tak to dekha tha
phir na jaane gaye kidhar tanha

~ Gulzar

Thursday, May 15, 2008

tumhare shehar ka mausam bada suhana lage

tumhare shehar ka mausam bada suhana lage 
mai ek sham chura loon agar bura na lage

tumhare bas mei agar ho to bhool jao hume
tumhe bhoolne mei shayad mujhe zamana lage

hamare pyar se jalne lagi hai ye duniya
dua karo kisi dushman ki bad-dua na lage

na jaane kya hai uski bebaak aankho mei
vo mooh chhupa ke jaaye bhi to bewafa na lage

jo doobna hai to itne sukoon se dubo
ke aas-paas ki leharon ko bhi pata na lage

ho jis ada se mere saath bewafayi kar
ke tere baad mujhe koi bewafaa na lage

wo phool jo mere daaman se ho gaye mansoob
khudaa kare unhe bazaar ki hawa na lage

tum aankh moond ke pi jao zindagi 'Qaiser'
ke ek ghoont mei shayad ye bad-maza na lage

~ Qaiser ul Jafri

Tuesday, May 13, 2008

mujhse mera kya rishta hai, har ek rishta bhool gaya

mujhse mera kya rishta hai, har ek rishta bhool gaya 
itne aaine dekhe hain, apna chehra bhool gaya

ab to ye bhi yaad nahi hai farq tha kitna dono mei
uski baatein yaad rahi aur uska lehja bhool gaya

pyasi dharti ke hotho par mera naam nahi to kya
mai vo baadal ka tukda hoon jisko dariya bhool gaya

duniya wale kuch bhi kahey "Raashid" apni majboori hai
uski gali jab yaad aayi hai, ghar ka rasta bhool gaya

~ Mumtaz Rashid