Thursday, May 15, 2008

tumhare shehar ka mausam bada suhana lage

tumhare shehar ka mausam bada suhana lage 
mai ek sham chura loon agar bura na lage

tumhare bas mei agar ho to bhool jao hume
tumhe bhoolne mei shayad mujhe zamana lage

hamare pyar se jalne lagi hai ye duniya
dua karo kisi dushman ki bad-dua na lage

na jaane kya hai uski bebaak aankho mei
vo mooh chhupa ke jaaye bhi to bewafa na lage

jo doobna hai to itne sukoon se dubo
ke aas-paas ki leharon ko bhi pata na lage

ho jis ada se mere saath bewafayi kar
ke tere baad mujhe koi bewafaa na lage

wo phool jo mere daaman se ho gaye mansoob
khudaa kare unhe bazaar ki hawa na lage

tum aankh moond ke pi jao zindagi 'Qaiser'
ke ek ghoont mei shayad ye bad-maza na lage

~ Qaiser ul Jafri

2 comments:

Unknown said...

hi,
I have been reading this blog for a while now, and i liked it...
i must agree that there are few words that i do not understand... but i think u have got a very good collections here.

jai said...

woye deepa sab scool me tichar ban gaya to ghnti kon bjyega
tuze nahi samze ga in alfajo ka matlab likane wale aap ke pairo me mera salam