Friday, August 8, 2008

misaal iski kahan hai zamaane mei

misaal iski kahan hai zamaane mei
ki saare khone ke gham paaye humne paane mei

wo shakl pighli to har shai mei dhal gayi jaise
ajeeb baat huyi hai usse bhulaane mei

jo muntazir na milaa, wo to hum hai sharminda
ki humne derr lagaa di palatke aane mei

lateef thaa wo takhaiyul se, khwab se naazuk
gavaa diya humne hi usse aazmaane mei

samajh liya tha kabhi ek saraab ko dariya
par ek sukoon tha humko fareb khaane mei

jhukaa darakht hawa se, to andhiyo ne kaha
zyada farq nahin jhuk ke toot jaane mei

~ Javed Akhtar

1 comment:

shariq siddiqui said...

ujaadne pe jisko muttafiq zamana hai.
usi chaman me hamara bhi ashiyana hai.
mere khuda kisi mushkil me daal de mujhko.
mujhe kuch apna azeezo ko aazmana hai.
yaha koi kisi ki madad nahi karta.
khud apni raah ka pathar mujhe hatana hai.
Iqbal adeeb kashipuri...my walid sahab pls post this if u like(www.khyaal-e-shariq.blogspot.com)my address