Thursday, August 21, 2008

angdaayi par angdaayi leti hai raat judaai ki

angdaayi par angdaayi leti hai raat judaai ki
tum kya samjho tum kya jaano baat meri tanhaai ki

kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariyaa mei
maine aankh jhuki dekhi hai aaj kisi harjaai ki

vasl ki raat na jaane kyon israar thaa unko jaane par
waqt se pehle doob gaye taaro ne badi daanaai ki

udte udte aas kaa panchhi door ufaq mei doob gaya
rotey rotey baith gayi aawaaz kisi saudaai ki

~ Qateel Shifai

1 comment:

shariq siddiqui said...

raat hum hi se na kaati gayi tanhaayi ki.
tere gham ne to badi housla afzaayi ki.
kiya zarurat hai use anjuman araayi ki.
aa gayi raas jise zindagi tanhaayi ki.
unke deedar ki hasrat na reh jaye kahi.
ae khuda umr bada de meri binaayi ki.
Ahmar kashipuri my dada ji

shariq siddiqui