Saturday, April 5, 2008

dil mei kisi ke raah kiye jaa raha hoon mai

dil mei kisi ke raah kiye jaa raha hoon mai 
kitna haseen gunaah kiye jaa raha hoon mai

duniya-e-dil tabaah kiye jaa raha hoon mai
sarf-e-nigah-o-aah kiye jaa raha hoon mai

fard-e-amal siyaah kiye jaa raha hoon mai
rehmat ko bepanaah kiye jaa raha hoon mai

aisi bhi ik nigaah kiye jaa raha hoon mai
zarro ko mehar-o-maah kiye jaa raha hoon mai

mujhse lage hain ishq ki azamat ko chaar chaand
khud husn ko gawaah kiye jaa raha hoon mai

maasoomi-e-jamaal ko bhi jis pe rashk ho
aise bhi kuchh gunaah kiye jaa raha hoon mai

aage kadam badhaye jinhe soojhta nahi
roshan chirag-e-raah kiye jaa raha hoon mai

tanqeed-e-husn maslahat-e-khaas-e-ishq hai
ye jurm gaah-gaah kiye jaa raha hoon mai

gulshan parast hoon mujhe gul hi nahi azeez
kaanto se bhi nibaah kiye jaa raha hoon mai

yu zindagi guzaar raha hoon tere bagair
jaise koi gunaah kiye jaa raha hoon mai

mujhse ada hua hai 'Jigar' justaju ka haq
har zarre ko gawaah kiye jaa raha hoon mai

~ Jigar Moradabadi

No comments: