Sunday, April 13, 2008

ik-ik patthar jodke maine jo deewar banayi hai

ik-ik patthar jodke maine jo deewar banayi hai 
jhanku uske peechhe to ruswayi hi ruswayi hai

yu lagta hai sotey jaagte auro ka mohtaaj hoon mai
aankhe meri apni hai par unme neend parayi hai

dekh rahe hain sab hairat se neele-neele paani ko
poochhe kaun samandar se tujhme kitni gehrayi hai

sab kehte hain ik jannat utri hai meri dharti par
mai dil mei sochoon shayad kamzor meri binayi hai

baahar sahan mei pedo par kuchh jalte bujhte jugnu the
hairat hai phir ghar ke andar kisne aag lagayi hai

aaj hua maaloom mujhe is shehar ke chand sayaano se
apni raah badalte rehna sabse badi daanaayi hai

tod gaye paimaan-e-vafaa is daur mei kaise kaise log
ye mat soch 'Qateel' ki bas ik yaar tera harjayi hai

~ Qateel Shifai

No comments: