Wednesday, April 30, 2008

har ek chehre ko zakhmo ka aaina na kaho

har ek chehre ko zakhmo ka aaina na kaho
ye zindagi to hai rehmat, isse saza na kaho

na jaane kaun si majaburiyo ka qaidi ho
vo saath chhod gaya hai to bewafa na kaho

tamaam shehar ne nezo pe kyun uchhaala mujhe
ye ittefaaq tha, tum isko haadsa na kaho

ye aur baat ke dushman hua hai aaj magar
vo meraa dost tha kal tak, usse bura na kaho

hamaare aib hume ungliyo pe ginvao
hamari peeth ke pichhe hume bura na kaho

mai waqiyaat ki zanjeer ka nahi kaayal
mujhe bhi apne gunaaho ka silsila na kaho

ye shehar vo hai jahan raakshas bhi hai "Rahat"
har ek taraashe huye but ko devta na kaho

~ Rahat Indori

Monday, April 28, 2008

gazab kiya, tere vaade pe aetbaar kiya

gazab kiya, tere vaade pe aetbaar kiya
tamaam raat qayamat ka intezaar kiya

hasa hasa ke shab-e-vasl ashkbaar kiya
tasalliya mujhe dede ke beqaraar kiya

ham aise mahv-e-nazaara na the jo hosh ata
magar tumhare tagaaful ne hoshiyaar kiya

fasana-e-shab-e-gam unko ek kahaani thi
kuch aetabaar kiya aur kuch na-aetabaar kiya

ye kisne jalwa hamare sar-e-mazaar kiya
ki dil se shor utha, haaye!!! beqaraar kiya

tadap phir aye dil-e-nadan, ki gair kehte hain
aakhir kuch na bani, sabr ikhtiyaar kiya

bhula-bhula ke jataya hai unko raaz-e-nihaa
chhipa-chhipa ke mohabbat ko aashkaar kiya

tumhe to vada-e-deedar ham se karna tha
ye kya kiya ke jahaan ko umeedwar kiya

ye dil ko taab kahan hai ke ho maalandesh
unhone vada kiya ham ne aetabaar kiya

na poochh dil kee haqeeqat magar ye kehte hain
wo beqaraar rahe jisne beqaraar kiya

kuch aage daawar-e-mahshar se hai umeeid mujhe
kuch aap ne mere kehne ka aetabaar kiya

~ Daag Dehlvi

Friday, April 25, 2008

din kuchh aise guzaarta hai koyi

din kuchh aise guzaarta hai koyi
jaise ehsaan utaarta hai koyi

ainaa dekh ke tasalli huyi
humko iss ghar mei jaanta hai koyi

pak gaya hai shazar pe phal shaayad
phir se patthar uchhaltaa hai koyi

phir nazar mei lahoo ke chheente hain
tumko shaayad mughaaltaa hai koyi

derr se goonjte hain sannaate
jaise humko pukaartaa hai koyi

~ Gulzar

Thursday, April 24, 2008

tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain

tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
kisi bahaane tumhe yaad karne lagte hain

hadees-e-yaar ke unvaa nikharne lagte hain
to har hareem mei gesu sawarne lagte hain

har ajnabi hame mehram dikhayi deta hai
jo ab bhi teri gali gali se guzarne lagte hain

sabaa se karte hain gurbat-naseeb zikr-e-watan
to chashm-e-subah mei ansoo ubharne lagte hain

vo jab bhi karte hain is nutq-o-lab ki bakhiyaagari
fazaa mei aur bhi nagme bikharne lagte hain

dar-e-qafas pe andhere ki muhar lagti hai
to 'Faiz' dil mei sitaare utarne lagte hain

~ Faiz Ahmed Faiz

Monday, April 21, 2008

ishq ko benaqaab hona tha

ishq ko benaqaab hona tha
aap apna jawaab hona tha

teri ankho ka kuch kasoor nahi
haan, mujhi ko kharaab hona tha

dil ki jis par hai naqsh-e-ranga-rang
usko sadaa kitaab hona tha

humne nakamiyo ko dhoond liya
akhirash kamyaab hona tha

~ Jigar Moradabadi

Sunday, April 13, 2008

ik-ik patthar jodke maine jo deewar banayi hai

ik-ik patthar jodke maine jo deewar banayi hai 
jhanku uske peechhe to ruswayi hi ruswayi hai

yu lagta hai sotey jaagte auro ka mohtaaj hoon mai
aankhe meri apni hai par unme neend parayi hai

dekh rahe hain sab hairat se neele-neele paani ko
poochhe kaun samandar se tujhme kitni gehrayi hai

sab kehte hain ik jannat utri hai meri dharti par
mai dil mei sochoon shayad kamzor meri binayi hai

baahar sahan mei pedo par kuchh jalte bujhte jugnu the
hairat hai phir ghar ke andar kisne aag lagayi hai

aaj hua maaloom mujhe is shehar ke chand sayaano se
apni raah badalte rehna sabse badi daanaayi hai

tod gaye paimaan-e-vafaa is daur mei kaise kaise log
ye mat soch 'Qateel' ki bas ik yaar tera harjayi hai

~ Qateel Shifai

Saturday, April 12, 2008

har shamma bujhi rafta rafta, har khwab luta dheere dheere

har shamma bujhi rafta rafta, har khwab luta dheere dheere 
sheesha na sahi patthar bhi na tha, dil toot gaya dheere dheere

barso mei maraasim bante hain, lamho mei bhala kya tootenge
tu mujhse bichhadna chahe to, deewar utha dheere dheere

ehsaas hua barbadi ka jab saare ghar mei dhool udi
ayi hai hamare aangan mei patjhad ki hawa dheere dheere

dil kaise jala kis waqt jala ham ko bhi pata aakhir mei chala
phaila hai dhuan chupke chupke, sulgi hai chita dheere dheere

wo haath paraye ho bhi gaye ab dur ka rishta hai 'Qaiser'
ati hai meri tanhayi mei khushboo-e-heena dheere dheere

~ Qaiser ul Jafri

Wednesday, April 9, 2008

dard ki barish sahi madham, zara ahista chal

dard ki barish sahi madham, zara ahista chal 
dil ki mitti hai abhi tak nam, zara ahista chal

tere milne aur phir tere bichhad jaane ke beech
fasla rusvayi ka hai kam, zara ahista chal

apne dil hi mei nahi hai uski mehroomi ki yaad
uski aankho mei bhi hai shabnam, zara ahista chal

koi bhi ho humsafar 'Raashid' na ho khush iss qadar
abke logo mei wafa hai kam, zara ahista chal

~ Mumtaz Rashid

Monday, April 7, 2008

dard apnata hai paraye kaun

dard apnata hai paraye kaun
kaun sunta hai aur sunaye kaun

kaun dohraye vo puraani baat
gham abhi soya hai jagaye kaun

vo jo apne hain kya vo apne hain
kaun dukh jhele aazmaye kaun

ab sukoon hai to bhoolne mei hai
lekin us shaks ko bhulaye kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas-udaas
dekhiye aaj yaad aaye kaun

~ Javed Akhtar

Saturday, April 5, 2008

dil mei kisi ke raah kiye jaa raha hoon mai

dil mei kisi ke raah kiye jaa raha hoon mai 
kitna haseen gunaah kiye jaa raha hoon mai

duniya-e-dil tabaah kiye jaa raha hoon mai
sarf-e-nigah-o-aah kiye jaa raha hoon mai

fard-e-amal siyaah kiye jaa raha hoon mai
rehmat ko bepanaah kiye jaa raha hoon mai

aisi bhi ik nigaah kiye jaa raha hoon mai
zarro ko mehar-o-maah kiye jaa raha hoon mai

mujhse lage hain ishq ki azamat ko chaar chaand
khud husn ko gawaah kiye jaa raha hoon mai

maasoomi-e-jamaal ko bhi jis pe rashk ho
aise bhi kuchh gunaah kiye jaa raha hoon mai

aage kadam badhaye jinhe soojhta nahi
roshan chirag-e-raah kiye jaa raha hoon mai

tanqeed-e-husn maslahat-e-khaas-e-ishq hai
ye jurm gaah-gaah kiye jaa raha hoon mai

gulshan parast hoon mujhe gul hi nahi azeez
kaanto se bhi nibaah kiye jaa raha hoon mai

yu zindagi guzaar raha hoon tere bagair
jaise koi gunaah kiye jaa raha hoon mai

mujhse ada hua hai 'Jigar' justaju ka haq
har zarre ko gawaah kiye jaa raha hoon mai

~ Jigar Moradabadi

Friday, April 4, 2008

tumhari mast nazar agar idhar nahi hoti

tumhari mast nazar agar idhar nahi hoti
nashe mei choor fiza iss kadar nahi hoti

tumhi ko dekhne ki dil mei arzoo hai
tumhare aage hi aur oonchi nazar nahi hoti

khafa na hona agar badhke tham loon daaman
ye dil-fareb khata jaankar nahi hoti

tumhare aane talak humko hosh rehta hai
phir uske baad hume kuchh khabar nahi hoti

~ Sahir Ludhianvi

Wednesday, April 2, 2008

ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota

ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota
kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisaar hota

na maza hai dushmani mei na hai lutf dosti mei
koi gair-gair hota koi yaar-yaar hota

ye maza tha dillagi ka ke baraabar aag lagti
na tumhe qaraar hota na hame qaraar hota

tere waade par sitamagar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hame aitbaar hota

~ Daag Dehlvi